guzar jate hain aa kar samne kya kya alam us ke thaharne ka takalluf hi nahin karte qadam us ke kabhi arzi hamari bhi suni jati thi majlis mein kabhi hum se bhi the manus altaf-o-karam us ke qayamat hai ki un ko bhi inayat kah raha hai dil abhi tak jaante the jin ko hum zulm-o-sitam us ke sunate the shikasta dil ki aahen ek duje ko hamara raaz-dan wo ban gaya tha aur hum us ke mukhalif aandhiyon se than gai kuchh yun parinde ki nahin juz arsh jaga rah mein lene ko dam us ke dayar-e-aish mein us ka tasawwur tak nahin hota kade haalon mein sab khoja kiye naqsh-e-qadam us ke koi mushkil badi ummid se raste mein hail thi so hum bhi dur hi se dekhte the pech-o-kham us ke