ye daulat rutba shohrat aur ye iman miTTi hai

ye daulat rutba shohrat aur ye iman mitti hai
lagaya hath tab jaana falak be-jaan mitti hai

lagi jab aag patton mein shajar tab ro pada gham mein
kaha phir shakh ne har shai yahan nadan mitti hai

likhun main falsafe ki shairi ya git ulfat ke
main shair hun meri har nazm ka unwan mitti hai

kitab-e-hijr mein main ab likhunga wasl ke qisse
mohabbat mein mila hai jo mujhe tawan mitti hai

nahin malum hasrat se main mitti dekhta hun kyon
mujhe shayad khabar hai kul meri pahchan mitti hai

dikhata khel hai sab ko 'azal' ban kar madari aur
tamasha dekhta hai jo wo har insan mitti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close