guzar na jae samaat ke sard-khanon se ye bazgasht jo chipki hui hai kanon se khara nahin tha magar aisa raegan bhi na tha wo sikka dhund ke ab laun kin khazanon se ye chashm-e-abr ka pani ye nakhl-e-mehr ke pat utar raha hai mera rizq aasmanon se jo dar khule hain kabhi band kyun nahin hote ye puchhta hi kahan hai koi makanon se utar phenka badan se libas tak 'shaariq' magar ye bojh ki hatta nahin hai shanon se