main hi bolunga na tu bolega be-gunahon ka lahu bolega mausam-e-gul mein ye ejaz-e-junun ek ek tar-e-rafu bolega mai-kada bhi hai karamat ka maqam dast-e-saqi mein subu bolega pas-e-paiman-e-mohabbat hai mujhe chup rahen dost adu bolega main bad-akhlaq nahin hun mujh se kyun but-e-arbada-ju bolega jurm-e-haq-goi mein sar jaane par mera ek ek bun-e-mu bolega huk uthegi mere dil se 'raghib' jab papiha lab-e-ju bolega