guzar nahin hai kisi ka to rasta kyon hai jo rasta hai to mahrum-e-naqsh-e-pa kyon hai har ek shakhs samajhta hai ajnabi phir bhi tumhaare ghar ka pata mujh se puchhta kyon hai tumhaara shahr ujalon ka shahr sunte the qadam qadam pe andheron ka samna kyon hai wahi sahar hai wahi shab wahi hai hangama magar hayat ka manzar udas sa kyon hai main apne waqt ki taswir ban gaya to nahin har aadmi mujhe is tarah dekhta kyon hai nigah jab teri binai kho chuki apni to zindagi tere hathon mein aaina kyon hai kisi se mil ke bichhad jaana umr bhar ko 'nasib' zara si bhul ki itni badi saza kyon hai