dil ne subu to aankh ne saghar utha liya donon ne apna apna muqaddar utha liya mazi ka phul haal ka patthar utha liya jo mil gaya ghazal ki zamin par utha liya majburiyon ka us ki kuchh andaza kijiye kante ko jis ne phul samajh kar utha liya itni chamak thi ashk-e-gham-e-rozgar mein har qatre ko samajh ke main gauhar utha liya kyon laghzish-e-qadam ko main apni dua na dun mujh ko kisi ne hath badha kar utha liya jab bujh saki na pyas to pyasi nigah ne aankhon mein band kar ke samundar utha liya jis se na uth saki kabhi ek shakh-e-gul 'nasib' hairat hai aise hath ne khanjar utha liya