guzar raha hun siyah andhe faslon se main na ab hun rah se ibarat na manzilon se main kahan kahan se alag kar sakoge tum mujh ko juda hua hun yahan lakh silsilon se main qadam milane mein sab kar rahe the quwwaten sarf mila hun rah mein kitne hi qafilon se main main us ke panw ki zanjir dekhta tha bahut kuchh aashna na tha apni hi mushkilon se main ajib log hain kuchh kah do man lete hain hua hun zer bahut zud qatilon se main kaho to sath baha le chalun ye dukh bhare shahr guzar raha hun ajab khasta sahilon se main main kyun burai sunun doston ki ai 'bani' alag nahin unhin khote khare dilon se main