'sakhi' se chhut kar jaenge ghar aap aji kuchh khair bhi hai hain kidhar aap wo aashiq hain ki marne par hamare karenge yaad hum ko umr bhar aap pari samjhen pari, huren kahen hur hue kis nur ke paida bashar aap na aashiq hain zamane mein na mashuq idhar hum rah gae hain aur udhar aap dikhaenge hum apni laghari bhi abhi to dekhiye apni kamar aap mere nale agar sunne ka hai shauq to sahab hath rakhiye kan par aap rasai us ke zulfon tak na hogi 'sakhi' be-faeda maren na sar aap