guzarne ko to 'shaariq' apni har aalam mein guzri hai wahi hai zindagi lekin jo un ke gham mein guzri hai wo uftad-e-khizan ho ya bahaaron ki junun-khezi qayamat hai pe sach puchho to har mausam mein guzri hai wo koi aur honge khwahish-e-amn-o-sukun wale yahan to umr sari kawish-e-paiham mein guzri hai na puchh ai ham-nashin kya sanahe guzre mohabbat mein use kuchh dil samajhta hai ki jis aalam mein guzri hai mujhe jaise do-alam mil gae jab mil gai 'shaariq' wo ek saat mohabbat ki jo us ke gham mein guzri hai