mujh se aisa rabta rakh dosti qaem rahe pyas yun bujhti rahe ki tishnagi qaem rahe meri palkon ke tale ab jo diye jalne lage in diyon ki har tarah se raushni qaem rahe tujh se milne ki tadap bhi dil se na ho kam kabhi tu ho mere samne aur be-khudi qaem rahe meri aankhon mein rahe qaem hujum-e-iltifat teri aankhon mein sada waraftagi qaem rahe rang teri zindagi mein har taraf bikhre rahen tu hai meri zindagi ye zindagi qaem rahe tujh se meri guftugu hai aarzu ka silsila phul mahke hain to in ki tazgi qaem rahe