guzarne wali hawa ko bata diya gaya hai ki khushbuon ka jazira jala diya gaya hai zamin ki aankh ka naqsha bana diya gaya hai aur ek tir faza mein chala diya gaya hai usi ke dam se tha raushan sipah-e-shab ka alam wo chand jis ko zamin mein daba diya gaya hai wo ek raaz! jo muddat se raaz tha hi nahin us ek raaz se parda utha diya gaya hai tumhein pata nahin khana-ba-dosh ummido? naya ilaqa sar-e-jaan basa diya gaya hai jahan hua tha basarat ka qatl-e-am 'nabil' wahan ek aaina-khana bana diya gaya hai