hayat-o-kaenat par kitab likh rahe the hum jahan jahan sawab tha azab likh rahe the hum hamari tishnagi ka gham raqam tha mauj mauj par samundaron ke jism par sarab likh rahe the hum sawal tha ki justuju azim hai ki aarzu so yun hua ki umr bhar jawab likh rahe the hum sulagte dasht, ret aur babul the har ek su nagar nagar, gali gali gulab likh rahe the hum zamin ruk ke chal padi, charagh bujh ke jal gae ki jab adhure khwabon ka hisab likh rahe the hum mujhe batana zindagi wo kaun si ghadi thi jab khud apne apne waste azab likh rahe the hum chamak utha har ek pal, mahak uthe qalam dawat kisi ke nam dil ka intisab likh rahe the hum