guzarte din ke dukhon ka pata to deta tha wo sham dhalne se pahle sada to deta tha hujum-e-kar mein pal bhar bhi ek bahane se wo apne qurb ka jadu jaga to deta tha sharik-e-rah tha wo ham-safar na tha phir bhi qadam qadam pe mujhe hausla to deta tha mujhi ko milti na thi fursat-e-pazirai wo apne sach ka mujhe aaina to deta tha wo chand aur kisi aasman ka tha lekin ufuq ufuq ko mere jagmaga to deta tha main us ki aanch mein tap kar na ho saka kundan wo apne shola-e-jaan ki hawa to deta tha