ye log dhund rahe hain yahan wahan mujh ko talash karte nahin apne darmiyan mujh ko main agle pichhle zamanon se ho ke aaya hun kahin nazar nahin aae hain raftagan mujh ko wo jis mein laut ke aati thi ek shahzadi abhi talak nahin bhuli wo dastan mujh ko ye kis ne kar diya saiqal zamin ka aaina tah-e-zamin nazar aata hai aasman mujh ko ajib shakhs hai jis ne kahin nahin jaana ye kah ke dekhta jata hai karwan mujh ko mujhe khabar hai kahani ka ant aa gaya hai mujhe khabar hai ki hona hai raegan mujh ko