guzishta shab jo hasti bar-faraaz-e-dar thi main tha

guzishta shab jo hasti bar-faraaz-e-dar thi main tha
phir agle din jo surkhi shaukat-e-akhbar thi main tha

wahan kuchh log the ilzam the baqi andhera hai
bas itna yaad hai jallad tha talwar thi main tha

jahan taswir banwane ki khatir log aate the
wahan pas-manzar-e-taswir jo diwar thi main tha

main apna sar na karta pesh ujrat mein to kya karta
tumhaari baat thi wo bhi sar-e-bazar thi main tha

ye viran surkh sayyare inhen dekhun to lagta hai
teri duniya mein jo chahkar thi mahkar thi main tha

khafa mat ho mere badle wahan gul-dan rakh dena
tere kamre ki chizon mein jo shai bekar thi main tha

tumhaare khat jo main ne khud ko dale the nahin pahunche
tu anjaane mein jis ke pyar se do-chaar thi main tha

mere khaliyan the dahqan the taqdir thi tu tha
tera zindan tha zanjir thi jhankar thi main tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close