daere par hi kahin hun koi manqut-e-wajud gumbad-e-nili ka main nuqta-e-parkar nahin main zamin par to muqayyad hun magar dam mein hai dam aasman bhi to makan hai pa hawa-dar nahin ab tere baad kise dekhun koi hai to bata ab koi zulf-e-tarah-dar tarah-dar nahin warna sahra se bada shahr na hota koi fitrat-e-reg mein afraazi-e-diwar nahin main tere husn ki qimat to lagane se raha ye mera dil hai koi misr ka bazar nahin aasman par hai zamin arsh ki manind muqim aur us arsh pe juz ahmad-e-mukhtar nahin us ke aane se kahin dur chale jate hain sach kahun chand se taron ko zara pyar nahin sunnat-e-hijrat-e-yasrab pe bhi chalta lekin ghaar har rah mein maujud hai par yar nahin