guzre hue waqton ka nishan tha to kahan tha hum se jo nihan hai wo ayan tha to kahan tha is tarah lipatti hai udasi ki ye sochen do pal ki khushi ka jo guman tha to kahan tha basti ka taqaza hai kahin hain to kahan hain majnun ka bayaban mein makan tha to kahan tha baitha hai mere pas ki chalna nahin mumkin sohbat ki hadon ka jo nishan tha to kahan tha ab sochte hain baith ke gulshan ki faza mein sahra mein hamara jo makan tha to kahan tha piri hai buzurgi hai budhapa hai ki kya hai is karb mein rahna ki jawan tha to kahan tha nashsha hi nahin sab ka bharam tut raha tha sunte the koi pir-e-mughan tha to kahan tha 'amir' ko hamin dhund ke laen hain ba-mushkil kahte hain wo pahle se yahan tha to kahan tha