guzre jidhar se nur bikhere chale gae wo ham-safar hue to andhere chale gae ab main hun aur shiddat-e-gham ki hai tez dhup un gesuon ke sae ghanere chale gae mere tafakkuraat ko dasti rahi thi jo nagin chali gai wo sapere chale gae ummid ke shajar pe wo halchal nahin rahi chidiyan gain to rain basere chale gae andhe safar ko ghar se main nikla tha dosto aai jab un ki yaad andhere chale gae aatish ne mere ghar ko jalaya to kya hua kuchh der ke liye to andhere chale gae 'hasrat' main be-qarar hun lutne ke waste jaane kahan hasin lutere chale gae