raat-din josh-e-junun se kaam hona chahiye ishq ki duniya mein apna nam hona chahiye mit na jae is jahan se ishq ka nam-o-nishan kuchh to pas-e-hasrat-e-nakaam hona chahiye gul-rukhon ki baat chhodo wo khizan-dida hain phul fasl-e-gul ka zikr subh-o-sham hona chahiye zindagi mitti hai mit jae ada-e-farz mein farz ki takmil par anjam hona chahiye chal diye sab dost aur ahbab tanha chhod kar ab to majburan ghariq-e-jam hona chahiye chaaragar se ho nahin sakta gharibi ka ilaj ab gharibon hi ka qatl-e-am hona chahiye ye bhi hai koi hukumat jis ki lathi us ki bhains jaante ho is ka jo anjam hona chahiye azm-o-himmat ho to ban jata hai 'azam' har koi shart ye hai aadmi khush-kaam hona chahiye