guzre talluqat ka ab wasta na de gum ho chuki kitab jo us ka pata na de ab tazkire na chhed mere ahad-e-shauq ke jo bujh gai hai aag use phir hawa na de kuchh is qadar fareb sahaaron se khae hain main gir padunga khauf se tu aasra na de jis ki jabin-e-shauq pe likkha tha mera nam ab dur ja basa hai tu shayad bhula na de shoala jo maujzan hai mohabbat ka dil mein aaj dar hai ki sarsar-e-gham-e-dauran bujha na de go chal pada hun dil se magar chahta hun ye uth kar mujhe wo rok le aur rasta na de khali na koi daulat-e-ikhlas se rahe 'alwi' kisi ko bhul ke ye bad-dua na de