ab to har ek adakar se dar lagta hai mujh ko dushman se nahin yar se dar lagta hai kaise dushman ke muqabil wo thahar paega jis ko tuti hui talwar se dar lagta hai wo jo pazeb ki jhankar ka shaidai ho us ko talwar ki jhankar se dar lagta hai mujh ko baalon ki safedi ne khabar-dar kiya zindagi ab teri raftar se dar lagta hai kar den maslub unhen lakh zamane wale haq-paraston ko kahan dar se dar lagta hai wo kisi tarah bhi tairak nahin ho sakta dur se hi jise manjdhaar se dar lagta hai mere aangan mein hai wahshat ka basera 'afzal' mujh ko ghar ke dar-o-diwar se dar lagta hai