guzren phir ek hadsa-e-KHun-chakan se hum

guzren phir ek hadsa-e-khun-chakan se hum
ai dost aisa hausla laen kahan se hum

har din hain mushkilat o masail nae nae
shayad guzar rahe hain kisi imtihan se hum

paida ho kaise jazba-e-taskhir-e-kaenat
aazad hi na ho sake wahm-o-guman se hum

apne liye jo bais-e-sad-iftikhar thi
ab us ghadi ko dhund ke laen kahan se hum

rahzan ka khauf chhodiye pahle ye sochiye
khud ko bacha ke kaise rakhen pasban se hum

kaise alag karengi zamane ki gardishen
hindostan hai hum se to hindostan se hum

'maqbul' kya karen ki tabiat hai haq-pasand
mahzuz hone wale nahin dastan se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close