har lamha karb-o-dard-o-gham-o-iztirab mein yani meri hayat hai paiham azab mein ab dil hamara ban gaya khushiyon ka maqbara hai dafn har khushi isi khana-kharab mein sadqe hazar jaan se lutf-e-sukun-o-aish us lutf par jo pa liya hai iztirab mein gahrai-e-nazar ho to nazzara sahal hai warna har ek chiz chhupi hai naqab mein is atomi zamane ki saughat hai yahi hai ek ek nafas zad-e-qahr-o-itab mein 'maqbul' kya maqam-e-shahid-e-wafa hai dekh aab-e-hayat pa liya hai zahr-e-nab mein