haal achchha hai na hi hosh Thikane se hai

haal achchha hai na hi hosh thikane se hai
be-qarari ka ye aalam to zamane se hai

ek muddat se mayassar nahin ghar ko raunaq
us pe parhez tumhein hansne hansane se hai

na-khushi bebasi ho jaen numayan sahab
faeda dushmanon ko haal chhupane se hai

chal zara apni riwayat se alag raste par
ab ke khatra bhi to khatra na uthane se hai

jaisa hai waisa rahega ye jahan mere dost
is ko matlab na tere aane na jaane se hai

le gaya lut ke jo mulk ki daulat yaro
wo koi chor nahin raj-gharane se hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close