jam gai barf si ye pighalti nahin

jam gai barf si ye pighalti nahin
aarzu sach ke qalib mein dhalti nahin

khwab apni jagah subh apni jagah
shab ye lekin kisi samt chalti nahin

aadmi ki hawas ne ujada jise
zindagi us chaman mein tahalti nahin

ladkhadate qadam khud sanbhaalen yahan
zist hamwar rahon pe chalti nahin

meri aankhon se tapka na hota lahu
to kahani teri bhi nikalti nahin

ab daraata nahin koi bhi hadisa
sine mein dhadkanen bhi machalti nahin

dosti bhi ghuli ho agar chae mein
waqt ruk jata hai sham dhalti nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close