haal-e-anjam se piri mein KHabar-dar hue

haal-e-anjam se piri mein khabar-dar hue
haif-sad-haif ki ab khwab se bedar hue

kis tarah khana-nashini se na ghabra jaen
aadmi hum na hue nuqta-e-parkar hue

khana-e-chashm mein rakkha na basarat ne qadam
band jis din se tere rauzan-e-diwar hue

hai mere pesh-e-nazar ab bhi tumhaara bachpan
mujh se batlao ki tum kab se tarahdar hue

nafa kya pahonche kisi ko jo tawangar ho bakhil
kya anadil ko mila phul jo zardar hue

past himmat hui musa ki haqiqat sun kar
bhul kar hum na kabhi talib-e-didar hue

mauqa-e-did jab aaya to nigah khira hui
mardum-e-dida ajab waqt mein bimar hue

shisha se ban ke pari bint-e-inab jab nikli
dekh kar jame se bahar wahin mai-khwar hue

wasl mein talkhi-e-furqat ki talafi ye hui
lab-e-shirin-e-sanam mujh se shakar-bar hue

muntashir fikr-e-maishat se hue hosh-o-hawas
tair-e-aql-e-rasa par tere bekar hue

hashr mein aish ke saman hue dushman 'talib'
yar-e-ghaar apne jo duniya mein the aghyar hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close