parda-e-chashm se lahu nikla qatra baadal se surkh-ru nikla sakht baaton se us ka dil tuta sang-dil shokh tund-khu nikla hai baja mar-e-astin kahna rah ke pahlu mein dil adu nikla aankh ka ishq mein qusur nahin dil sarasar mera adu nikla ek gul hi pe kuchh nahin mauquf wo hazaron se khub-ru nikla mai ke pine mein raat bhar zahid na to hum nikle aur na tu nikla aaina kal hua tha khana-nashin aaj kyon tere ru-ba-ru nikla jae kyunkar kahin dil-e-wahshi basta-e-zulf mu-ba-mu nikla shauq-e-abru mein tere badr-e-munir mah-e-nau ban ke qibla-ru nikla mai piyen barshkal aai hai sabza duniya mein chaar su nikla tujh se sharma ke sham mehr chhupa subh nikla to radd-e-ru nikla chashm-e-wahdat parast wa jo hui main ne dekha to mujh mein tu nikla mohtasib tu bhi surat-e-zahid dushman-e-saghar-o-subu nikla dost samjhe the hum jise 'talib' dushman-e-jaan-o-abru nikla