haal-e-dil apna likhun haal tumhaara likkhun tu hi batla ki tere khat mein main kya kya likkhun un ko apnane ki sab koshishen nakaam huin bazi-e-ishq mein ab apne ko haara likkhun jis mein taswir nazar aati thi har waqt teri aaina tut gaya ab wo tumhaara likkhun gar gareban hi salamat hai na daman us ka kaisi haalat mein hai diwana tumhaara likkhun 'faiz' haalat hain jo kuchh bhi karam hai us ka kyun na har haal ko ehsan tumhaara likkhun