wo pech-o-kham jo alag meri rahguzar se tha mujhe khabar hai numayan mere safar se tha guzar gaya tha kisi raaz ki tarah wo naqsh dhula hua jo meri khak-e-khair-o-shar se tha hawa ke sath safar ka na hausla tha jise sabhi ko khauf usi lamha-e-sharar se tha kanar-e-sham ufuq tha wahi magar viran khala ke silsila-e-lams ke asar se tha ruka hua tha khamoshi ki tah mein sail koi khatar use bhi meri tarah bahr-o-bar se tha meri nigah mein hael the barg-o-bar-e-khizan ghira hua main ajab saya-e-shajar se tha