haal-e-dil-e-be-qarar hai aur shayad ki khayal-e-yar hai aur ai dida na ro ki tujh par ek shab ranj-e-shab-e-intizar hai aur jaga hai kahin magar tu di-shab aankhon mein teri khumar hai aur farhad ne dekhte hi gulgun jaana tha ki ye sawar hai aur kuche mein tere meri nigah ka har gosha umid-war hai aur hai aakhir-e-umr is chaman mein do chaar hi din bahaar hai aur nawak ka tere shikar-gah mein har goshe naya shikar hai aur wo hum se kare hai kal ka wada auron se wahan qarar hai aur kya lale se nisbat us ko sach hai dagh-e-dil-e-daghdar hai aur auron sa na jaan mujh ko pyare ye aashiq-e-jaan-nisar hai aur ai 'mushafi' is mein chup hi rah tu sunta hai ye rozgar hai aur