ye naya zulm nai tarz-e-jafa hai ki nahin wo bura kah ke ye kahte hain suna hai ki nahin ji mein aata hai ki dekhun kabhi sar phod ke main wasl un ka meri qismat mein likha hai ki nahin hum isi fikr mein be-maut mare jate hain un ke hathon se hamari bhi qaza hai ki nahin lo mere zikr-e-mohabbat pe ye irshad hua qais o farhad ka anjam suna hai ki nahin sun ke ashaar yahi 'nuh' se wo puchhte hain tujh mein kuchh aur sifat is ke siwa hai ki nahin