haal-e-dil is tarah chhupata hun jab bhi milta hun muskuraata hun raat bhar khwab jo sajata hun din nikalta hai bhul jata hun mere kamre mein sirf kaghaz hai main charaghon se khauf khata hun aaj-kal wo bhi kuchh nahin kahta main bhi khamosh laut aata hun unche logon mein baith kar main bhi apni auqat bhul jata hun jwar-bhata meri ragon mein hai main samundar samet lata hun kis ki bahon mein tutna tha mujhe kis ki banhon mein chhatpatata hun chandni jhulti hai shane par chand ko god mein khilata hun raat katti hai aasmanon par din ko main bakriyan charaata hun apsaraen mujhe bulati hain dewtaon ko main bulata hun khet to pat gae hain lashon se ret mein sabziyan ugata hun