haal-e-dil kuchh jo sar-e-bazm kaha hai main ne wo ye samjhe hain ki ilzam diya hai main ne munh to phera hai kabhi ye bhi to socha hota tumhein chaha hai tumhein pyar kiya hai main ne la sakoge sar-e-peshani wo tabani-o-nur tumhein ashaar mein jo bakhsh diya hai main ne kya kahin sikh liye hain nae andaz-e-fareb bandhte ho nae paiman ye suna hai main ne tum ne duniya ki tarah aankh firai hai to kya ye bhi ek jabr isi dil pe saha hai main ne zabt ki dad na di koi zamane ne mujhe khun ka ghunt ba-har-haal piya hai main ne ye gham-e-talkhi-e-dauran ye mohabbat ka junun khub ye dard bhi ek mol liya hai main ne