mujh se chhup kar mere armanon ko barbaad na kar dad-khwahi ke liye aaya hun bedad na kar dekh mit jaega hasti se guzar jaega dil-e-na-aqebat-andesh unhen yaad na kar aa gaya ab to mujhe lutf-e-asiri sayyaad zabh kar dal magar qaid se aazad na kar jis pe marta hun use dekh to lun ji bhar ke itni jaldi tu mere qatl mein jallad na kar aap to zulm lagatar kiye jate hain mujh se takid pe takid hai fariyaad na kar jalwa dikhla ke mera lut liya sabr-o-qarar phir ye kahte hain ki tu nala-o-fariyaad na kar aap hi apni jafaon pe pasheman hain wo un ko mahjub ziyaada dil-e-nashad na kar ai saba kucha-e-jaanan mein pada rahne de khak hum khak-nashinon ki to barbaad na kar hum to jab samjhen ki han dil pe hai qabu 'bedam' wo tujhe bhul gae to bhi unhen yaad na kar