haal-e-dil lakh tera un ko jata dete hain wo magar baat ko baaton mein uda dete hain laeq-e-nazr nahin aur to kuchh apne pas ek dil hai so tumhein nam-e-khuda dete hain lakh nafrat karen wo hum se adawat rakkhen khush rahen shad rahen un ko dua dete hain bahr-e-taskin kabhi ahbab ne itna na kaha kyon pareshan ho 'jarih' un ko bula dete hain