kabhi nafrat ke lahje se mohabbat kanp jati hai

kabhi nafrat ke lahje se mohabbat kanp jati hai
mukhalif koi apna ho to himmat kanp jati hai

suna hai qatilon ke khauf se munsif larazte hain
saza un ko sunane ko adalat kanp jati hai

bahadur baghiyon ke hauslon se kuchh nahin hota
agar sardar buzdil ho baghawat kanp jati hai

hamare hauslon ko tu nazar-andaz mat karna
ye wo bazu hai jis se baadshahat kanp jati hai

hawas ka zor hota hai amiron ke makanon mein
gharib-e-waqt ki har ek zarurat kanp jati hai

'nawab'-e-waqt hun lekin meri khasta haweli hai
kabhi diwar hilti hai kabhi chhat kanp jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close