haal-e-dil main suna nahin sakta lafz mana ko pa nahin sakta ishq nazuk-mizaj hai behad aql ka bojh utha nahin sakta hosh aarif ki hai yahi pahchan ki khudi mein sama nahin sakta ponchh sakta hai ham-nashin aansu dagh-e-dil ko mita nahin sakta mujh ko hairat hai us ki qudrat par alam us ko ghata nahin sakta