tishna-lab hun muddaton se dekhiye kab dar-e-mai-khana-e-kausar khule taqat-e-parwaz hi jab kho chuki phir hua kya gar hawa mein par khule chaak kar sine ko pahlu chir dal yun hi kuchh haal-e-dil-e-muztar khule raat talchhat tak na chhodi tab kahin raaz-ha-e-baada-o-saghar khule lo wo aa pahuncha junun ka qafila panw zakhmi khak munh par sar khule hun jo kasrat hi ke qail un pe kya raaz-e-fath-e-sibt-e-paighambar khule ru-numai ke liye laya hun jaan ab to shayad chehra-e-anwar khule ab to kashti ke muafiq hai hawa nakhuda kya der hai langar khule ye nazar-bandi to nikli radd-e-sehr dida-ha-e-hosh ab ja kar khule ab kahin tuta hai baatil ka tilism haq ke uqde ab kahin hum par khule ab hua hai ma-siwa ka parda fash marifat ke ab kahin daftar khule faiz se tere hi ai qaid-e-farang baal o par nikle qafas ke dar khule jite ji to kuchh na dikhlaya magar mar ke 'jauhar' aap ke jauhar khule