haal-e-dil main ne jo duniya ko sunana chaha mujh ko har shakhs ne dil apna dikhana chaha apni taswir banane ke liye duniya mein main ne har rang pe ek rang chadhana chaha khak-e-dil jauhar-e-aina ke kaam aa hi gai lakh duniya ne nigahon se girana chaha shoala-e-barq se gulshan ko bachane ke liye main ne har aag ko sine mein chhupana chaha apne aibon ko chhupane ke liye duniya mein main ne har shakhs pe ilzam lagana chaha ghairat-e-mauj use phenk gai sahil par dubne wale ne jab shor machana chaha