haal hamara kya puchho ho aag dabi uksao ho

haal hamara kya puchho ho aag dabi uksao ho
shoale kab ke rakh hue ab khak unhen lahkao ho

ped pe jab phal pat nahin to patjhad kya le jaega
khirman kab ka khak hua bekar hamein dhadkao ho

koi dagar hamwar mile to us ke sadhan kar dalo
tedhi-medhi pagdandi par jaan ke dhoka khao ho

rishte nate ganth girah se roz ulajhte jate hain
uljhan ki hai rit purani is ko kya suljhao ho

kaisi koi chahat-wahat bahki bahki baaten hain
apni apni rah lago kya sun sun ke sankao ho

'rizwan' tum kya nadan ho kuchh kahni apni kah dalo
duniya ki jab aankh khule hai tum hi kyon so jao ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close