lafz-o-mani ke jal bunta hun kab se khwab-o-khayal bunta hun bahr-e-taskhir-e-kaenat-e-latif fan ka husn-o-jamal bunta hun hai qalam jo mera rafiq-e-mudam us ka jah-o-jamal bunta hun ta rahe aabru-e-kar-e-junun khun-shuda dil ka haal bunta hun tane-bane hayat ke har roz bas-ki be-qil-o-qal bunta hun jab se dekha hai mausamon ka zawal manzar-e-barshgal bunta hun lazzat-e-dard ta jawan rahe aarzu-e-visal bunta hun kirm-e-resham na makdiyon ki misal main baya ki misal bunta hun