haal mein apne magan ho fikr-e-ainda na ho ye usi insan se mumkin hai jo zinda na ho kam se kam harf-e-tamanna ki saza itni to de jurat-e-jurm-e-sukhan bhi mujh ko aainda na ho be-gunahi jurm tha apna so is koshish mein hun srukh-ru main bhi rahun qatil bhi sharminda na ho zulmaton ki madh-khwani aur is andaz se ye kisi parwarda-e-shab ka numainda na ho main bahar-surat tera karb-e-taghaful sah gaya ab mujhe is ka sila de sirf sharminda na ho zindagi tishna bhi hai be-rang bhi lekin 'surur' jab talak chehra farogh-e-mai se tabinda na ho