haal se behaal jaise log hain

haal se behaal jaise log hain
hippiyon ke baal jaise log hain

muflison kangal jaise log hain
ye mere susral jaise log hain

phul jate hain zara si baat par
kya chane ki dal jaise log hain

gul se khali aur kanton se bhare
khejde ki dal jaise log hain

aa ke hathon mein phisal jate hain ye
reshmi rumal jaise log hain

ek kone mein pade hain be-hisab
lakdiyon ki tal jaise log hain

teri rahon mein bichhe hain har taraf
dekh le tirpal jaise log hain

dho rahe hain zindagi ke bojh ko
hum sabhi hammal jaise log hain

'be-takalluf' dusht ek tu hi nahin
aur bhi chandal jaise log hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close