na bistar na bartan waghaira waghaira

na bistar na bartan waghaira waghaira
na chhat hai na aangan waghaira waghaira

mere ghar ke bachchon ki tadad hi kya
ye do chaar darjan waghaira waghaira

har ustad shair ke ghar mein milenge
ye har day ye churan waghaira waghaira

likhega bhi kya mubtadi koi shair
ye barq o nasheman waghaira waghaira

qawafi nasheman se puchhe to bole
nasheman washeman waghaira waghaira

kabhi mujh pe barsati hai ghar ki malika
ye chimta ye belan waghaira waghaira

hain munne ki amma ki pakki saheli
shakuran ghafuran waghaira waghaira

har ek waqt na-waqt uthte hain kambakht
ye guddan ye chuttan waghaira waghaira

tere 'be-takalluf' ko sab jaanti hain
adosan padosan waghaira waghaira


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close