haalat ab sanwarne ke aasar bhi nahin gham be-shumar hain koi gham-khwar bhi nahin kya kya likhun main shahr-e-sitam ki riwayaten ek dusre ka koi madad-gar bhi nahin kashti ka meri yaro nigahban hai koi aur hathon mein mere is liye patwar bhi nahin kis ke qadam ko chumun kise parsa kahun har shakhs ab to sahib-e-kirdar bhi nahin ai shaikh teri baat ajib-o-gharib hai bhige hain hont aur gunahgar bhi nahin main kaise man lun wo masiha-e-waqt hai kirdar us ka laeq-e-dastar bhi nahin us ke liye duaen na mangi kahan kahan lekin 'qamar' wo mera talabgar bhi nahin