har dar pe apne sar ko jhukae hue hain log apna waqar khud hi girae hue hain log aaina ban ke shahr mein aae hue hain log khanjar bhi aastin mein chhupae hue hain log puchho na apne shahr ki tahzib ka chalan izzat kisi tarah se bachae hue hain log ek jashn-e-inqalab manane ke waste maqtal har ek ghar ko banae hue hain log dil mein kuduraten hain magar dekhiye janab ek dusre se hath milae hue hain log aata nahin zaban pe kabhi un ke us ka nam kya jaane dil mein kis ko basae hue hain log sahra-naward koi nahin hai 'qamar-rais’ viran shahr-e-gul ko banae hue hain log