haalat-e-bimar-e-gham par jis ko hairani nahin asal mein us aadmi mein khu-e-insani nahin aisi bedardi se us ko mat bahao khak par khun-e-insan khun-e-insan hai koi pani nahin ruh ka rishta kabhi kya tod pai hai qaza zindagi fani hai lekin ruh to fani nahin jis ki khushbu se moattar raat bhar rahta tha main mere ghar ke pas ab wo raat ki rani nahin main tajjub mein hun ye kaisa zamana aa gaya chand mein thandak nahin suraj mein tabani nahin phir tere upar na tute kyun azabon ka pahad tere andar ek zara bhi bu-e-imani nahin yun na apne chahne wale ko ruswa kijiye ye to andaz-e-suluk-e-dilbar-e-jaani nahin kyun nahin tufan ka manzar teri chashm-e-shauq mein kyun tere dariya-e-dil mein ab wo tughyani nahin mutmain hai ishq bhi sham-e-alam ke bawajud husn ke chehre pe bhi aks-e-pareshani nahin ishq mein bhi tu na paega kahin mera jawab jaan-e-man jo husn mein koi tera sani nahin ai 'zafar' pale hue hain wo bhi duniya ki hawas ab faqir-e-ishq mein bhi bu-e-irfani nahin