haalat jo yahi ai dil-e-nashad rahegi

haalat jo yahi ai dil-e-nashad rahegi
basti tere armanon ki aabaad rahegi

is husn-parasti ka yahi hashr hai hona
kul umr meri ishq mein barbaad rahegi

mit jaenge duniya se bhi hum did ke guzre
gar ai but-e-kafir yahi be-dad rahegi

kis ji se bhulaunga tujhe ai rukh-e-jaanan
ta-roz-e-abad mujh ko teri yaad rahegi

ek umr-e-asiri hi sahi jism mein ai ruh
daim to na ye qaid ki miad rahegi

lab tak nahin aaega tere nam bhi mera
par dil mein lagatar meri yaad rahegi

ek dasht-e-junun se dil-e-wahshi ko nikala
'rahbar' ye teri rahbari yaad rahegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close