gila-shikwa kahan rahta hai dil ham-saz hota hai

gila-shikwa kahan rahta hai dil ham-saz hota hai
mohabbat mein to har ek jurm nazar-andaz hota hai

labon par qufl aankhon mein lihaz-e-naz hota hai
mohabbat karne walon ka ajab andaz hota hai

ishaare kaam karte hain mohabbat mein nigahon ke
nigahon se hi baham inkishaf-e-raaz hota hai

guzarti hai jo us par sab gawara karta hai khush khush
jafaon se tumhaari dil kahan naraaz hota hai

har ek se hum to be-shak karte hain talqin ulfat ki
bada taqdir wala hi koi ham-saz hota hai

sukun-e-qalb hasil hai pareshan main nahin dilbar
jo tum se dur hota hai wahi na-saz hota hai

main hun shaki o nazan to faqat is rasm-e-duniya se
wahi ghammaz ho jata hai jo hamraaz hota hai

nahin hai gar ye duniya bhi haqiqat se hi wabasta
to kyun dil is ki jaanib mail-e-parwaz hota hai

badi tabdiliyan hoti hain ulfat un se hone par
zamir-e-khud-gharz ka saz-e-be-awaz hota hai

samajhte hain hamin hain hukmaran is sare aalam ke
nazar mein jab hamari wo hasin andaz hota hai

nazar aata hai har su jalwa-e-anwar mein gharq aalam
dil-e-pur-kaif behis dar-haqiqat baz hota hai

juda-gana magar andaz hota hai har aashiq ka
machata hai koi ghul koi be-awaz hota hai

safar manzil-ba-manzil tai kiya jata hai ulfat ka
badi muddat mein sar wo bargah-e-naz hota hai

wahi hai kaamran aashiq jo us ko par kar jae
dilon ke darmiyan jo ek jahan-e-raaz hota hai

badha aur un se waqif ho ki aazar-e-gham-e-furqat
dui ke farsh ka ehsas be-andaz hota hai

tanasukh hai musalsal ibtida-e-afrinash mein
hayat-e-jawedan mein kaun dakhl-andaz hota hai

na ham-pesha na ham-khana na ham-piyala na ham-bistar
wahi apna hai 'rahbar' jo bhi ham-awaz hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close