haalat ke kohna dar-o-diwar se niklen duniya ko badalna hai to ghar-bar se niklen nakaam sadaon ke hain aaseb yahan par is dasht-e-tamanna se to raftar se niklen jin mein ho mohabbat ka ukhuwwat ka ishaara paigham kuchh aise bhi to akhbar se niklen duniya bhi to ban sakti hai jannat ka namuna hum apni ana apne hi pindar se niklen jo haqq-o-sadaqat ka sabaq bhul gae hain wo kaise bhala waqt ke aazar se niklen hum ne bhi bahaaron ko lahu apna diya hai ab hum se hi kahte ho ki gulzar se niklen is darja taghaful hai to hum ne bhi ye socha ummid-e-karam hasrat-e-didar se niklen har ek qadam par hai yahan jaan ka khatra ab soch samajh kar zara bazar se niklen aage hi nikalna hai jo 'shayan' se un ko akhlaq se aamal se kirdar se niklen